jis tarah ashk chashm-e-tar se gire
jis tarah ashk chashm-e-tar se gire
yuuñ hī ham aap kī nazar se gire
be-takalluf gale lagā leñ ham
kaash ḳhanjar tirī kamar se gire
ruḳh se Tapke jo qatr-hā-e-araq
phuul se dāman-e-sahar se gire
na to sayyād hai na kunj-e-qafas
kahīñ bijlī meñ abr-e-tar se gire
dekh kar shakl un kī ai 'raunaq'
mahr-o-mah bhī mirī nazar se gire
jis tarah ashk chashm-e-tar se gire
yun hi hum aap ki nazar se gire
be-takalluf gale laga len hum
kash KHanjar teri kamar se gire
ruKH se Tapke jo qatr-ha-e-araq
phul se daman-e-sahar se gire
na to sayyaad hai na kunj-e-qafas
kahin bijli mein abr-e-tar se gire
dekh kar shakl un ki ai 'raunaq'
mahr-o-mah bhi meri nazar se gire
- Book : intekhaabe-e-sukhan(jild-duum) (Pg. 125)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.