jis tarah bahr ek qatre qatre mein hai
jis tarah bahr ik qatre qatre meñ hai
ek kahānī chhupī nuqte nuqte meñ hai
jab se hāthoñ meñ maiñ ne uThāyā qalam
tazkira bas tirā panne panne meñ hai
ye milan kī ghaḌī yuuñ huī muḳhtasar
simTī jaise sadī lamhe lamhe meñ hai
jab se hamrāz tujh ko hai maiñ ne kiyā
aam qissa mirā kūche kūche meñ hai
khiḌkiyāñ to ka.ī un makānoñ meñ hai
phir ghuTan kyuuñ yahāñ kone kone meñ hai
kyoñ talab ho tujhe ek ghar kī 'hinā'
āshiyāñ jab tirā zarre zarre meñ hai
jis tarah bahr ek qatre qatre mein hai
ek kahani chhupi nuqte nuqte mein hai
jab se hathon mein main ne uThaya qalam
tazkira bas tera panne panne mein hai
ye milan ki ghaDi yun hui muKHtasar
simTi jaise sadi lamhe lamhe mein hai
jab se hamraaz tujh ko hai main ne kiya
aam qissa mera kuche kuche mein hai
khiDkiyan to kai un makanon mein hai
phir ghuTan kyun yahan kone kone mein hai
kyon talab ho tujhe ek ghar ki 'hina'
aashiyan jab tera zarre zarre mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.