jis tarah do-jahan mein KHuda ka nahin sharik
jis tarah do-jahan mein KHuda ka nahin sharik
Parveen Umm-e-Mushtaq
MORE BYParveen Umm-e-Mushtaq
jis tarah do-jahāñ meñ ḳhudā kā nahīñ sharīk
tere jamāl meñ nahīñ koī hasīñ sharīk
maiñ bhī tirā fidā.ī huuñ mujh pe bhī rahm khā
jab tak hai is gumān meñ kuchh kuchh yaqīñ sharīk
us ke sitam hī kam haiñ jo auroñ kā naam luuñ
hai āsmāñ sharīk na is meñ zamīñ sharīk
roz-e-jazā umiid hai sab ko sazā mile
iqdām-e-qatl meñ haiñ mire sab hasīñ sharīk
ai badr terā da.avā-e-yaktā.ī sab ġhalat
jumla sifāt meñ hai tire vo jabīñ sharīk
sach pūchhiye to jān-e-jahāñ mere qatl meñ
tirchhī nazar ke saath hī chīn-e-jabīñ sharīk
vā'iz tū bāġh-e-husn kī ik baar sair kar
mumkin hai dilkashī meñ ho ḳhuld-e-barīñ sharīk
kyā vaj.h tere zulm-o-sitam meñ mazā nahīñ
ai daur-e-charḳh aaj vo shāyad nahīñ sharīk
bhejā payām-e-jalsa to andāz se kahā
'arsa huā ki ham nahīñ hote kahīñ sharīk
'parvīñ' ġhalat hai un ko samajhnā judā judā
haiñ jism-o-jāñ kī tarah se duniyā-o-dīñ sharīk
jis tarah do-jahan mein KHuda ka nahin sharik
tere jamal mein nahin koi hasin sharik
main bhi tera fidai hun mujh pe bhi rahm kha
jab tak hai is guman mein kuchh kuchh yaqin sharik
us ke sitam hi kam hain jo auron ka nam lun
hai aasman sharik na is mein zamin sharik
roz-e-jaza umid hai sab ko saza mile
iqdam-e-qatl mein hain mere sab hasin sharik
ai badr tera dawa-e-yaktai sab ghalat
jumla sifat mein hai tere wo jabin sharik
sach puchhiye to jaan-e-jahan mere qatl mein
tirchhi nazar ke sath hi chin-e-jabin sharik
wa'iz tu bagh-e-husn ki ek bar sair kar
mumkin hai dilkashi mein ho KHuld-e-barin sharik
kya wajh tere zulm-o-sitam mein maza nahin
ai daur-e-charKH aaj wo shayad nahin sharik
bheja payam-e-jalsa to andaz se kaha
'arsa hua ki hum nahin hote kahin sharik
'parwin' ghalat hai un ko samajhna juda juda
hain jism-o-jaan ki tarah se duniya-o-din sharik
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.