jis tarah hath ki chuDi ka khanakna tai hai
jis tarah haath kī chūḌī kā khanaknā tai hai
Thiik vaise hī mire dil kā dhḌaknā tai hai
lauT aa.e haiñ tujhe ġhair kī qismat kar ke
aaj kī raat to āñkhoñ kā chhalaknā tai hai
kaifiyat dil kī agar tū ne dikhā.ī mujh ko
aa.ine phir to mirā tujh pe bhaḌaknā tai hai
maiñ ne alfāz nahīñ dard piro rakhe haiñ
ye ġhazal sun ke mirī jaan sisaknā tai hai
be-hisī ne to banā Daalā thā patthar mujh ko
is tabassum se to āñchal kā Dhalaknā tai hai
kuchh ḳhabar bhī hai tujhe dil ko jalāne vaale
zaḳhm khilte haiñ to phir un kā mahaknā tai hai
jis tarah hath ki chuDi ka khanakna tai hai
Thik waise hi mere dil ka dhDakna tai hai
lauT aae hain tujhe ghair ki qismat kar ke
aaj ki raat to aankhon ka chhalakna tai hai
kaifiyat dil ki agar tu ne dikhai mujh ko
aaine phir to mera tujh pe bhaDakna tai hai
main ne alfaz nahin dard piro rakhe hain
ye ghazal sun ke meri jaan sisakna tai hai
be-hisi ne to bana Dala tha patthar mujh ko
is tabassum se to aanchal ka Dhalakna tai hai
kuchh KHabar bhi hai tujhe dil ko jalane wale
zaKHm khilte hain to phir un ka mahakna tai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.