jis tarah paida hue us se juda paida karo
jis tarah paidā hue us se judā paidā karo
ḳhud ko apnī ḳhaak se bilkul nayā paidā karo
shahr ke in ā.ina-ḳhānoñ meñ phirnā hai fuzūl
chāhiye chehra to apnā aa.ina paidā karo
yaar sajdoñ kā bhī kuchh me.aar honā chāhiye
pahle jā kar Dhañg kā koī ḳhudā paidā karo
is hujūm-e-shahr meñ us tak pahuñchnā hai muhāl
ab to andar hī se koī rāsta paidā karo
taaki ik ghar meñ rahe to dūsrā mahfil meñ ho
'farhat-ehsās' apne jaisā dūsrā paidā karo
jis tarah paida hue us se juda paida karo
KHud ko apni KHak se bilkul naya paida karo
shahr ke in aaina-KHanon mein phirna hai fuzul
chahiye chehra to apna aaina paida karo
yar sajdon ka bhi kuchh mear hona chahiye
pahle ja kar Dhang ka koi KHuda paida karo
is hujum-e-shahr mein us tak pahunchna hai muhaal
ab to andar hi se koi rasta paida karo
taki ek ghar mein rahe to dusra mahfil mein ho
'farhat-ehsas' apne jaisa dusra paida karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.