jis tarah ranj mein aankhon ki nami ka hona
jis tarah ranj meñ āñkhoñ kī namī kā honā
aisā hotā hai mohabbat meñ kisī kā honā
kyoñ na phir us se ta'alluq ko nibhāyā jaa.e
jab kisī aur kā honā hai usī kā honā
terā sūraj ke qabīle se ta'alluq to nahīñ
ye kahāñ se tujhe aayā hai sabhī kā honā
muñh meñ ubhre hue chhāle kī tarah hai tirā naam
itnā āsāñ na samajh kam-suḳhanī kā honā
'ishq dīmak kī tarah chaaT liyā kartā hai
ab zarūrī nahīñ āshufta-sarī kā honā
jis tarah ranj mein aankhon ki nami ka hona
aisa hota hai mohabbat mein kisi ka hona
kyon na phir us se ta'alluq ko nibhaya jae
jab kisi aur ka hona hai usi ka hona
tera suraj ke qabile se ta'alluq to nahin
ye kahan se tujhe aaya hai sabhi ka hona
munh mein ubhre hue chhaale ki tarah hai tera nam
itna aasan na samajh kam-suKHani ka hona
'ishq dimak ki tarah chaT liya karta hai
ab zaruri nahin aashufta-sari ka hona
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 90)
- Author :Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.