jis waqt tu be-naqab aawe
jis vaqt tū be-naqāb aave
hogā koī jis ko taab aave
kaafī hai naqāb-e-zulf muñh par
āshiq se agar hijāb aave
kyūñkar kahe koī haal tujh se
har baat meñ jo itaab aave
qāsid se kahā hai vaqt-e-ruḳhsat
jo vo but-e-be-hijāb aave
le aa.iyo gar javāb deve
lāzim hai ki tū shitāb aave
ai jāñ-ba-lab rasīda itnā
rahnā hai ki tā javāb aave
'bedār' ko tujh bin ai dil-ārām
hotā hī nahīñ ki ḳhvāb aave
jis waqt tu be-naqab aawe
hoga koi jis ko tab aawe
kafi hai naqab-e-zulf munh par
aashiq se agar hijab aawe
kyunkar kahe koi haal tujh se
har baat mein jo itab aawe
qasid se kaha hai waqt-e-ruKHsat
jo wo but-e-be-hijab aawe
le aaiyo gar jawab dewe
lazim hai ki tu shitab aawe
ai jaan-ba-lab rasida itna
rahna hai ki ta jawab aawe
'bedar' ko tujh bin ai dil-aram
hota hi nahin ki KHwab aawe
- Deewan-e-Bedar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.