jise apna samajhte the wahi apna nahin nikla
jise apnā samajhte the vahī apnā nahīñ niklā
yahī dil se hamāre 'umr-bhar kāñTā nahīñ niklā
bahut nazdīk se ḳhud-ġharz duniyā dekh lī ham ne
jise jaisā samajhte the vahī vaisā nahīñ niklā
vo dhokā thā nazar kā ham jise sonā samajhte the
parakhne pe vo sonā kyā kharā kāñsā nahīñ niklā
zabāneñ saḳht haiñ jin kī vo dil ke saaf hote haiñ
koī bhī shaḳhs mīThā aaj tak achchhā nahīñ niklā
jise apna samajhte the wahi apna nahin nikla
yahi dil se hamare 'umr-bhar kanTa nahin nikla
bahut nazdik se KHud-gharz duniya dekh li hum ne
jise jaisa samajhte the wahi waisa nahin nikla
wo dhoka tha nazar ka hum jise sona samajhte the
parakhne pe wo sona kya khara kansa nahin nikla
zabanen saKHt hain jin ki wo dil ke saf hote hain
koi bhi shaKHs miTha aaj tak achchha nahin nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.