jise dekhte hi KHumari lage
jise dekhte hī ḳhumārī lage
use umr saarī hamārī lage
ujālā sā hai us ke chāroñ taraf
vo nāzuk badan paañv bhārī lage
vo sasurāl se aa.ī hai mā.ike
use jitnā dekho vo pyārī lage
hasīn sūrateñ aur bhī haiñ magar
vo sab saikaḌoñ meñ hazārī lage
chalo is tarah se sajā.eñ use
ye duniyā hamārī tumhārī lage
use dekhnā sher-goī kā fan
use sochnā dīn-dārī lage
jise dekhte hi KHumari lage
use umr sari hamari lage
ujala sa hai us ke chaaron taraf
wo nazuk badan panw bhaari lage
wo sasural se aai hai maike
use jitna dekho wo pyari lage
hasin suraten aur bhi hain magar
wo sab saikaDon mein hazari lage
chalo is tarah se sajaen use
ye duniya hamari tumhaari lage
use dekhna sher-goi ka fan
use sochna din-dari lage
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 601)
- Author : Nida Fazli
- Publication : Miar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.