jise hum DhunDte phirte rahe har ek mahfil mein
jise hum DhunDte phirte rahe har ek mahfil mein
Vakeel Ahmad Hayat
MORE BYVakeel Ahmad Hayat
jise ham DhūñDte phirte rahe har ek mahfil meñ
sharāb-e-ishq vo ham ko milī mai-ḳhāna-e-dil meñ
ye āñkheñ jab bhī rotī haiñ bhigo detī haiñ aariz ko
baḌā gahrā ta'alluq hai samundar aur sāhil meñ
jahāñ par adl kā parcham har ik parcham se ūñchā ho
samajh lenā vahī behtar qabīla hai qabā.il meñ
mujhe to shā.erī karne kī bhī fursat nahīñ miltī
ulajh jaatā huuñ aksar maiñ riyāzī ke masā.il meñ
hamīñ ne dekhī hai tārīḳh kī sab se burī hijrat
diloñ se log nikle aur base jā kar mobile meñ
jo ye kahte haiñ ham ne to qayāmat ko nahīñ dekhā
'hayāt' un se ye kahtā hai kabhī jhāñko mire dil meñ
jise hum DhunDte phirte rahe har ek mahfil mein
sharab-e-ishq wo hum ko mili mai-KHana-e-dil mein
ye aankhen jab bhi roti hain bhigo deti hain aariz ko
baDa gahra ta'alluq hai samundar aur sahil mein
jahan par adl ka parcham har ek parcham se uncha ho
samajh lena wahi behtar qabila hai qabail mein
mujhe to shaeri karne ki bhi fursat nahin milti
ulajh jata hun aksar main riyazi ke masail mein
hamin ne dekhi hai tariKH ki sab se buri hijrat
dilon se log nikle aur base ja kar mobile mein
jo ye kahte hain hum ne to qayamat ko nahin dekha
'hayat' un se ye kahta hai kabhi jhanko mere dil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.