jise lab par na lana chahta hun
jise lab par na laanā chāhtā huuñ
vo afsāna sunānā chāhtā huuñ
kuchh aañsū chāhtā huuñ aaj piinā
kuchh āñkhoñ se bahānā chāhtā huuñ
tar-o-tāza raheñ jo tā-qayāmat
kuchh aise gul khilānā chāhtā huuñ
mujhe tū āzmānā chāhtā hai
tujhe maiñ āzmānā chāhtā huuñ
jise lab par na lana chahta hun
wo afsana sunana chahta hun
kuchh aansu chahta hun aaj pina
kuchh aankhon se bahana chahta hun
tar-o-taza rahen jo ta-qayamat
kuchh aise gul khilana chahta hun
mujhe tu aazmana chahta hai
tujhe main aazmana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.