jise log kahte hain tirgi wahi shab hijab-e-sahar bhi hai
jise log kahte hain tirgi wahi shab hijab-e-sahar bhi hai
Firaq Gorakhpuri
MORE BYFiraq Gorakhpuri
jise log kahte haiñ tīrgī vahī shab hijāb-e-sahar bhī hai
jinheñ be-ḳhudī-e-fanā milī unheñ zindagī kī ḳhabar bhī hai
tire ahl-e-dīd ko dekh ke kabhī khul sakā hai ye raaz bhī
unheñ jis ne ahl-e-nazar kiyā vo tirā ḳharāb-e-nazar bhī hai
ye visāl-o-hijr kī bahs kyā ki ajiib chiiz hai ishq bhī
tujhe pā ke hai vahī dard-e-dil vahī rañg-e-zaḳhm-e-jigar bhī hai
ye nasīb-e-ishq kī gardisheñ ki zamāñ makāñ se guzar ke bhī
vahī āsmāñ vahī shām-e-ġham vahī shām-e-ġham kī sahar bhī hai
tire kaif-e-husn kī jaan hai mirī be-dilī-o-fasurdagī
jise kahte haiñ ġham-e-rā.egāñ vo liye hue kuchh asar bhī hai
na rahā hayāt kī manziloñ meñ vo farq-e-nāz-o-niyāz bhī
ki jahāñ hai ishq barahna-pā vahīñ husn ḳhāk-basar bhī hai
vo ġham-e-firāq bhī kaT gayā vo malāl ishq bhī miT gayā
magar aaj bhī tire haath meñ vahī āstīñ hai ki tar bhī hai
dam-e-hashr azal kī bhī yaad kar ye zabān kyā ye nigāh kyā
jo kisī se aaj na ho sakā vo savāl bār-e-digar bhī hai
jo visāl-o-hijr se duur hai jo karam sitam se hai be-ḳhabar
kuchh uThā huā hai vo dard bhī kuchh uThī huī vo nazar bhī hai
ye pata hai us kī ināyatoñ ne ḳharāb kitnoñ ko kar diyā
ye ḳhabar hai nargis-e-nīm-vā ki girah meñ fitna-e-shar bhī hai
usī shām-e-marg kī tīrgī meñ haiñ jalva-hā-e-hayāt bhī
unhīñ zulmatoñ ke hijāb meñ ye chamak ye raqs-e-sharar bhī hai
vahī dard bhī hai davā bhī hai vahī maut bhī hai hayāt bhī
vahī ishq nāvak-e-nāz hai vahī ishq sīna-sipar bhī hai
tū zamāñ makāñ se guzar bhī jā tū rah-e-adam ko bhī kaaT le
vo savāb ho ki azaab ho kahīñ zindagī se mafar bhī hai
jo gale tak aa ke aTak gayā jise talḳh-kām na pī sake
vo lahū kā ghūñT utar gayā to sunā hai shīr-o-shakar bhī hai
koī ahl-e-dil ko kamī nahīñ magar ahl-e-dil kā ye qaul hai
abhī maut bhī nahīñ mil sakī abhī zindagī meñ kasar bhī hai
baḌī chiiz daulat-o-jāh hai baḌī vus.ateñ haiñ nasīb use
magar ahl-e-daulat-o-jāh meñ kahīñ aadmī kā guzar bhī hai
ye shab-e-darāz bhī kaT ga.ī vo sitāre Duube vo pau phaTī
sar-e-rāh ġhaflat-e-ḳhvāb se ab uTho ki vaqt-e-sahar bhī hai
jo ulaT chuke haiñ bisāt-e-dahr ko agle vaqtoñ meñ bārhā
vahī aaj gardish-e-baḳht hai vahī rañg-e-daur-e-qamar bhī hai
na ġham-e-azāb-o-savāb se kabhī chheḌ fitrat-e-ishq ko
jo azal se mast-nigāh hai use nek-o-bad kī ḳhabar bhī hai
vo tamām shukr-o-razā sahī vo tamām sabr-o-sukūñ sahī
tū hai jis se mā.il-e-imtihāñ vo farishta hai to bashar bhī hai
na kaho taġhāful-e-husn se koī kār-sāzī-e-ġham kare
ki jo aaj ġham se nikal ga.ī vo duā ḳharāb asar bhī hai
tire ġham kī umr-e-darāz meñ ka.ī inqalāb hue magar
vahī tūl-e-shām-e-'firāq' hai vahī intizār-e-sahar bhī hai
jise log kahte hain tirgi wahi shab hijab-e-sahar bhi hai
jinhen be-KHudi-e-fana mili unhen zindagi ki KHabar bhi hai
tere ahl-e-did ko dekh ke kabhi khul saka hai ye raaz bhi
unhen jis ne ahl-e-nazar kiya wo tera KHarab-e-nazar bhi hai
ye visal-o-hijr ki bahs kya ki ajib chiz hai ishq bhi
tujhe pa ke hai wahi dard-e-dil wahi rang-e-zaKHm-e-jigar bhi hai
ye nasib-e-ishq ki gardishen ki zaman makan se guzar ke bhi
wahi aasman wahi sham-e-gham wahi sham-e-gham ki sahar bhi hai
tere kaif-e-husn ki jaan hai meri be-dili-o-fasurdagi
jise kahte hain gham-e-raegan wo liye hue kuchh asar bhi hai
na raha hayat ki manzilon mein wo farq-e-naz-o-niyaz bhi
ki jahan hai ishq barahna-pa wahin husn KHak-basar bhi hai
wo gham-e-firaq bhi kaT gaya wo malal ishq bhi miT gaya
magar aaj bhi tere hath mein wahi aastin hai ki tar bhi hai
dam-e-hashr azal ki bhi yaad kar ye zaban kya ye nigah kya
jo kisi se aaj na ho saka wo sawal bar-e-digar bhi hai
jo visal-o-hijr se dur hai jo karam sitam se hai be-KHabar
kuchh uTha hua hai wo dard bhi kuchh uThi hui wo nazar bhi hai
ye pata hai us ki inayaton ne KHarab kitnon ko kar diya
ye KHabar hai nargis-e-nim-wa ki girah mein fitna-e-shar bhi hai
usi sham-e-marg ki tirgi mein hain jalwa-ha-e-hayat bhi
unhin zulmaton ke hijab mein ye chamak ye raqs-e-sharar bhi hai
wahi dard bhi hai dawa bhi hai wahi maut bhi hai hayat bhi
wahi ishq nawak-e-naz hai wahi ishq sina-sipar bhi hai
tu zaman makan se guzar bhi ja tu rah-e-adam ko bhi kaT le
wo sawab ho ki azab ho kahin zindagi se mafar bhi hai
jo gale tak aa ke aTak gaya jise talKH-kaam na pi sake
wo lahu ka ghunT utar gaya to suna hai shir-o-shakar bhi hai
koi ahl-e-dil ko kami nahin magar ahl-e-dil ka ye qaul hai
abhi maut bhi nahin mil saki abhi zindagi mein kasar bhi hai
baDi chiz daulat-o-jah hai baDi wusaten hain nasib use
magar ahl-e-daulat-o-jah mein kahin aadmi ka guzar bhi hai
ye shab-e-daraaz bhi kaT gai wo sitare Dube wo pau phaTi
sar-e-rah ghaflat-e-KHwab se ab uTho ki waqt-e-sahar bhi hai
jo ulaT chuke hain bisat-e-dahr ko agle waqton mein barha
wahi aaj gardish-e-baKHt hai wahi rang-e-daur-e-qamar bhi hai
na gham-e-azab-o-sawab se kabhi chheD fitrat-e-ishq ko
jo azal se mast-nigah hai use nek-o-bad ki KHabar bhi hai
wo tamam shukr-o-raza sahi wo tamam sabr-o-sukun sahi
tu hai jis se mail-e-imtihan wo farishta hai to bashar bhi hai
na kaho taghaful-e-husn se koi kar-sazi-e-gham kare
ki jo aaj gham se nikal gai wo dua KHarab asar bhi hai
tere gham ki umr-e-daraaz mein kai inqalab hue magar
wahi tul-e-sham-e-'firaq' hai wahi intizar-e-sahar bhi hai
- Book : Naya daur (Pg. 235)
- Author : Qamar Sultana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.