jism damakta, zulf ghaneri, rangin lab, aankhen jadu
jism damaktā, zulf ghanerī, rañgīñ lab, āñkheñ jaadū
sañg-e-marmar, uudā bādal, surḳh shafaq, hairāñ aahū
bhikshū-dānī, pyāsā pānī, dariyā sāgar, jal gāgar
gulshan ḳhushbū, koyal kūkū, mastī dārū, maiñ aur tū
bāñbī nāgin, chhāyā āñgan, ghuñghrū chhan-chhan, aashā man
āñkheñ kājal, parbat bādal, vo zulfeñ aur ye baazū
rāteñ mahkī, sāñseñ dahkī, nazreñ bahkī, rut lahkī
sapn salonā, prem khilaunā, phuul bichhaunā, vo pahlū
tum se dūrī, ye majbūrī, zaḳhm-e-kārī, bedārī,
tanhā rāteñ, sapne kāteñ, ḳhud se bāteñ, merī ḳhū
jism damakta, zulf ghaneri, rangin lab, aankhen jadu
sang-e-marmar, uda baadal, surKH shafaq, hairan aahu
bhikshu-dani, pyasa pani, dariya sagar, jal gagar
gulshan KHushbu, koyal kuku, masti daru, main aur tu
banbi nagin, chhaya aangan, ghunghru chhan-chhan, aasha man
aankhen kajal, parbat baadal, wo zulfen aur ye bazu
raaten mahki, sansen dahki, nazren bahki, rut lahki
sapn salona, prem khilauna, phul bichhauna, wo pahlu
tum se duri, ye majburi, zaKHm-e-kari, bedari,
tanha raaten, sapne katen, KHud se baaten, meri KHu
- Book : Tarkash (Pg. 100)
- Author : Javed Akhtar
- Publication : Star Publications Pvt. Ltd (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.