jism ka bojh uThae hue chalte rahiye
jism kā bojh uThā.e hue chalte rahiye
dhuup meñ barf kī mānind pighalte rahiye
ye tabassum to hai chehroñ kī sajāT ke liye
varna ehsās vo dozaḳh hai ki jalte rahiye
ab thakan paañv kī zanjīr banī jaatī hai
raah kā ḳhauf ye kahtā hai ki chalte rahiye
zindagī bhiik bhī detī hai to qīmat le kar
roz fariyād kā andāz badalte rahiye
jism ka bojh uThae hue chalte rahiye
dhup mein barf ki manind pighalte rahiye
ye tabassum to hai chehron ki sajaT ke liye
warna ehsas wo dozaKH hai ki jalte rahiye
ab thakan panw ki zanjir bani jati hai
rah ka KHauf ye kahta hai ki chalte rahiye
zindagi bhik bhi deti hai to qimat le kar
roz fariyaad ka andaz badalte rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.