jism ka ghar hi gira hai to na jaan Thahregi
jism kā ghar hī girā hai to na jaañ Thahregī
yaad aa.ī bhī kisī kī to kahāñ Thahregī
thak ke baiThā huuñ magar zindagī bhāgī jaa.e
maiñ chalā jā.ūñgā to umr-e-ravāñ Thahregī
us ke dar se jo uThe shahr se phir kyā matlab
kisī sahrā meñ hī ab naql-e-makāñ Thahregī
bhuul kar bhī na bhulānā use ai dil varna
ye subuk-doshī bhī ik bār-e-garāñ Thahregī
ḳhud pe har rut ko guzarte hue dekhā thā magar
kyā ḳhabar thī ki yahī ek ḳhizāñ Thahregī
jism ka ghar hi gira hai to na jaan Thahregi
yaad aai bhi kisi ki to kahan Thahregi
thak ke baiTha hun magar zindagi bhagi jae
main chala jaunga to umr-e-rawan Thahregi
us ke dar se jo uThe shahr se phir kya matlab
kisi sahra mein hi ab naql-e-makan Thahregi
bhul kar bhi na bhulana use ai dil warna
ye subuk-doshi bhi ek bar-e-garan Thahregi
KHud pe har rut ko guzarte hue dekha tha magar
kya KHabar thi ki yahi ek KHizan Thahregi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.