jism ke neze par jo rakkha hai
jism ke neze par jo rakkhā hai
us mire sar meñ jaane kyā kyā hai
but banāyā mire hunar ne mujhe
mere hāthoñ ne mujh ko toḌā hai
bastiyāñ ujḌī haiñ to sannāTā
merī āvāz meñ samāyā hai
maiñ bhī be-jaḌ kā peḌ huuñ shāyad
mujh ko bhī Dar havā se lagtā hai
shahr meñ kuchh imāratoñ ke sivā
ab mirā kaun milne vaalā hai
kahne sunñe ko kuchh nahīñ baaqī
milnā-julnā ajab sā lagtā hai
jism ke neze par jo rakkha hai
us mere sar mein jaane kya kya hai
but banaya mere hunar ne mujhe
mere hathon ne mujh ko toDa hai
bastiyan ujDi hain to sannaTa
meri aawaz mein samaya hai
main bhi be-jaD ka peD hun shayad
mujh ko bhi Dar hawa se lagta hai
shahr mein kuchh imaraton ke siwa
ab mera kaun milne wala hai
kahne sunne ko kuchh nahin baqi
milna-julna ajab sa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.