jism ki sath pe tufan kiya jaega
jism kī sat.h pe tūfān kiyā jā.egā
apne hone kā phir elaan kiyā jā.egā
ham raheñge abhī is ā.ina-ḳhāne meñ asiir
abhī kuchh din hameñ hairān kiyā jā.egā
sāmne se koī bijlī sī guzar jā.egī
mere andar koī haijān kiyā jā.egā
manzil-e-ḳhāk pe jaanā hai isī shart ke saath
ye safar be-sar-o-sāmān kiyā jā.egā
aa rahā hogā vo dāman se havā bāñdhe hue
aaj ḳhushbū ko pareshān kiyā jā.egā
jism ki sath pe tufan kiya jaega
apne hone ka phir elan kiya jaega
hum rahenge abhi is aaina-KHane mein asir
abhi kuchh din hamein hairan kiya jaega
samne se koi bijli si guzar jaegi
mere andar koi haijaan kiya jaega
manzil-e-KHak pe jaana hai isi shart ke sath
ye safar be-sar-o-saman kiya jaega
aa raha hoga wo daman se hawa bandhe hue
aaj KHushbu ko pareshan kiya jaega
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 108)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 111)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.