jism se sari rasm karte hain
jism se saarī rasm karte haiñ
ruuh se kufr se guzarte haiñ
aisī vābastagī bhī Thiik nahīñ
ham usī aur usī pe marte haiñ
dost jo aage baḌh ga.e mujh se
sach kahūñ to bahut akharte haiñ
un kā aur apnā mail hai hī nahīñ
vo to bad-nāmiyoñ se Darte haiñ
ek se haiñ hamārī zīst-o-makāñ
in meñ tanhā hamīñ Thaharte haiñ
kyā sabab hai ki 'shams' sab saa.e
raushnī meñ hī sirf ubharte haiñ
jism se sari rasm karte hain
ruh se kufr se guzarte hain
aisi wabastagi bhi Thik nahin
hum usi aur usi pe marte hain
dost jo aage baDh gae mujh se
sach kahun to bahut akharte hain
un ka aur apna mail hai hi nahin
wo to bad-namiyon se Darte hain
ek se hain hamari zist-o-makan
in mein tanha hamin Thaharte hain
kya sabab hai ki 'shams' sab sae
raushni mein hi sirf ubharte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.