jism taza gulab ki surat
jism taaza gulāb kī sūrat
zindagī ik nisāb kī sūrat
naqsh haiñ ab varaq varaq dil par
chand yādeñ kitāb kī sūrat
vo mire paas hai nahīñ bhī hai
ik haqīqat sarāb kī sūrat
dard us se bayāñ karūñ kaise
jaise māhī-be-āb kī sūrat
mai-kade meñ agar nahīñ kuchh to
zahr de de sharāb kī sūrat
husn-e-jānāñ kā haal kuchh yuuñ hai
chāñd Dhalte shabāb kī sūrat
gar vo pūchheñge hāl-e-dil 'zākir'
kuchh nahīñ hai javāb kī sūrat
jism taza gulab ki surat
zindagi ek nisab ki surat
naqsh hain ab waraq waraq dil par
chand yaaden kitab ki surat
wo mere pas hai nahin bhi hai
ek haqiqat sarab ki surat
dard us se bayan karun kaise
jaise mahi-be-ab ki surat
mai-kade mein agar nahin kuchh to
zahr de de sharab ki surat
husn-e-jaanan ka haal kuchh yun hai
chand Dhalte shabab ki surat
gar wo puchhenge haal-e-dil 'zakir'
kuchh nahin hai jawab ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.