jismon ki chaDhti dhup ka jab qahr utar gaya
jismoñ kī chaḌhtī dhuup kā jab qahr utar gayā
ik sho.ala Dūbne ko sar-e-nahr utar gayā
phir yaad aa ga.ī hai tire āñsuoñ kī shaam
phir aaj zer-e-āb koī shahr utar gayā
ab Das rahā hai mujh ko mirā khokhlā badan
sāvan kī bijliyoñ se mirā zahr utar gayā
ham mauj-e-tah-nashīñ the tujhe chhū nahīñ sake
tū barg-e-sat.h-e-āb thā har lahar utar gayā
ab rū-kash-e-jamāl 'musavvir' nahīñ koī
chehra-ba-chehra aks-e-ruḳh-e-dahr utar gayā
jismon ki chaDhti dhup ka jab qahr utar gaya
ek shoala Dubne ko sar-e-nahr utar gaya
phir yaad aa gai hai tere aansuon ki sham
phir aaj zer-e-ab koi shahr utar gaya
ab Das raha hai mujh ko mera khokhla badan
sawan ki bijliyon se mera zahr utar gaya
hum mauj-e-tah-nashin the tujhe chhu nahin sake
tu barg-e-sath-e-ab tha har lahar utar gaya
ab ru-kash-e-jamal 'musawwir' nahin koi
chehra-ba-chehra aks-e-ruKH-e-dahr utar gaya
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 63)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.