jitna kam saman rahega
jitnā kam sāmān rahegā
utnā safar āsān rahegā
jitnī bhārī gaThrī hogī
utnā tū hairān rahegā
us se milnā nā-mumkin hai
jab tak ḳhud kā dhyān rahegā
haath mileñ aur dil na mileñ
aise meñ nuqsān rahegā
jab tak mandir aur masjid haiñ
mushkil meñ insān rahegā
'nīraj' tū kal yahāñ na hogā
us kā giit vidhān rahegā
jitna kam saman rahega
utna safar aasan rahega
jitni bhaari gaThri hogi
utna tu hairan rahega
us se milna na-mumkin hai
jab tak KHud ka dhyan rahega
hath milen aur dil na milen
aise mein nuqsan rahega
jab tak mandir aur masjid hain
mushkil mein insan rahega
'niraj' tu kal yahan na hoga
us ka git widhan rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.