jitna tahzib-e-badan se main sanwarta jaun
jitnā tahzīb-e-badan se maiñ sañvartā jā.ūñ
utnā hī TuuT ke andar se bikhartā jā.ūñ
zindagī jaise calendar pe badaltī tārīḳh
maiñ shab-o-roz ke mānind guzartā jā.ūñ
kyā patā ḳhvāboñ kī ta.abīr mile yā na mile
kisī kāġhaz pe unheñ note hī kartā jā.ūñ
sehn-e-gulshan se vo ik āḳhirī rishta bhī gayā
ḳhushk pattoñ kī tarah ab to bikhartā jā.ūñ
tah-e-zulmāt in ā.ankhoñ ke diye jalte jaa.eñ
ziina ziina maiñ ujāloñ meñ utartā jā.ūñ
gard-e-dāman kī tarah mujh ko uḌāne vaale
aks ban kar tirī ā.ankhoñ meñ Thahartā jā.ūñ
kitne ghabrā.e hue haiñ mire qātil 'mohsin'
āstīnoñ pe lahū ban ke ubhartā jā.ūñ
jitna tahzib-e-badan se main sanwarta jaun
utna hi TuT ke andar se bikharta jaun
zindagi jaise calendar pe badalti tariKH
main shab-o-roz ke manind guzarta jaun
kya pata KHwabon ki tabir mile ya na mile
kisi kaghaz pe unhen note hi karta jaun
sehn-e-gulshan se wo ek aaKHiri rishta bhi gaya
KHushk patton ki tarah ab to bikharta jaun
tah-e-zulmat in aaankhon ke diye jalte jaen
zina zina main ujalon mein utarta jaun
gard-e-daman ki tarah mujh ko uDane wale
aks ban kar teri aaankhon mein Thaharta jaun
kitne ghabrae hue hain mere qatil 'mohsin'
aastinon pe lahu ban ke ubharta jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.