jitne bhi aae zinat-e-bazar ho gae
jitne bhī aa.e zīnat-e-bāzār ho ga.e
ik ham hī the jo sāhib-e-kirdār ho ga.e
jhūToñ pe tere shahr meñ ilzām tak nahīñ
aur ham ne sach kahā to gunahgār ho ga.e
jab bhī kahīñ charāġh jalā hai sukūt-e-shab
sab log āñdhiy.oñ ke taraf-dār ho ga.e
vo zālimoñ ke saath haiñ mazlūm be-amāñ
kaise hamāre ahd ke aḳhbār ho ga.e
ḳhatre meñ hai ab apne qabīle kī aabrū
jo muḳhbiroñ meñ the vahī sardār ho ga.e
Tapkā lahū 'nafas' ke badan se to yuuñ huā
qatre jahāñ-jahāñ gire ash'ār ho ga.e
jitne bhi aae zinat-e-bazar ho gae
ek hum hi the jo sahib-e-kirdar ho gae
jhuTon pe tere shahr mein ilzam tak nahin
aur hum ne sach kaha to gunahgar ho gae
jab bhi kahin charagh jala hai sukut-e-shab
sab log aandhiyon ke taraf-dar ho gae
wo zalimon ke sath hain mazlum be-aman
kaise hamare ahd ke aKHbar ho gae
KHatre mein hai ab apne qabile ki aabru
jo muKHbiron mein the wahi sardar ho gae
Tapka lahu 'nafas' ke badan se to yun hua
qatre jahan-jahan gire ash'ar ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.