jitne hasin chehre the logon ko bha gae
jitne hasīn chehre the logoñ ko bhā ga.e
rastoñ ko takte rah ga.e sāda-nuqūsh log
sapnoñ kī zindagī koī paise se le uḌā
sochoñ se laTke rah ga.e ġhurbat-zada se rog
logoñ se kis tarah mile hañste vujūd se
kaaTā ho jis ne 'ishq meñ dard-o-alam kā jog
dukh kī chitā meñ jal ga.e us ke hasīn pal
hastī pe jis kī phailā ho tā'na-zanī kā sog
us ko kabhī na duniyā meñ insān jāniye
khāyā ho jis ne zulm se fāqa-kashoñ kā bhog
jitne hasin chehre the logon ko bha gae
raston ko takte rah gae sada-nuqush log
sapnon ki zindagi koi paise se le uDa
sochon se laTke rah gae ghurbat-zada se rog
logon se kis tarah mile hanste wujud se
kaTa ho jis ne 'ishq mein dard-o-alam ka jog
dukh ki chita mein jal gae us ke hasin pal
hasti pe jis ki phaila ho ta'na-zani ka sog
us ko kabhi na duniya mein insan jaaniye
khaya ho jis ne zulm se faqa-kashon ka bhog
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.