jitne ho dur tum mere utne qarib ho
jitne ho duur tum mire utne qarīb ho
sach to ye hai ki tum hī mire ab nasīb ho
jab tum ne chāhā aa ga.e phir baat mujh se kī
jab chāhā tum chale ga.e tum bhī 'ajīb ho
taklīf to ḳhudā na de itnī kisī ko bhī
laḌkā baḌā akelā ho aur vo ġharīb ho
aisī mujhe mile jo kabhī zindagī ki phir
logoñ se duur aur vo ġham ke qarīb ho
jitne ho dur tum mere utne qarib ho
sach to ye hai ki tum hi mere ab nasib ho
jab tum ne chaha aa gae phir baat mujh se ki
jab chaha tum chale gae tum bhi 'ajib ho
taklif to KHuda na de itni kisi ko bhi
laDka baDa akela ho aur wo gharib ho
aisi mujhe mile jo kabhi zindagi ki phir
logon se dur aur wo gham ke qarib ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.