jitne ḳhatre mujhe jahān se haiñ
us se baḌh kar tirī zabān se haiñ
khelte rahte the tire nāḳhun
mere siine pe kuchh nishān se haiñ
barf par kheltī huī dhūpeñ
kaun sahrā ke ḳhāndān se haiñ
us kā me.ār-e-dostī kyā ho
jis ke dushman bhī āsmān se haiñ
raat kī rāniyoñ ko milnā hai
aur ummīdeñ bāġhbān se haiñ
jitne KHatre mujhe jahan se hain
us se baDh kar teri zaban se hain
khelte rahte the tere naKHun
mere sine pe kuchh nishan se hain
barf par khelti hui dhupen
kaun sahra ke KHandan se hain
us ka mear-e-dosti kya ho
jis ke dushman bhi aasman se hain
raat ki raniyon ko milna hai
aur ummiden baghban se hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.