jitni bhi tez ho sake raftar kar ke dekh
jitnī bhī tez ho sake raftār kar ke dekh
phir apnī ḳhvāhishoñ ko giraftār kar ke dekh
dīvāna hai junūñ meñ guzartā hī jā.egā
tū rāstoñ ko chāhe to dīvār kar ke dekh
yūsuf bhī hai yahāñ pe zuleḳhā-e-vaqt bhī
bas misr kī sī garmī-e-bāzār kar ke dekh
ai mohtasib rivāyat-e-kuhna ke naqsh meñ
ta.amīr kartā jā.ūñgā mismār kar ke dekh
shāyad isī meñ saare masā.il kā hal mile
sardār hai jo us ko sar-e-dār kar ke dekh
'jāved' gar hai ḳhvāhish-e-taskīn-e-qalb-o-jāñ
ruḳh apnā jānib-e-shah-e-abrār kar ke dekh
jitni bhi tez ho sake raftar kar ke dekh
phir apni KHwahishon ko giraftar kar ke dekh
diwana hai junun mein guzarta hi jaega
tu raston ko chahe to diwar kar ke dekh
yusuf bhi hai yahan pe zuleKHa-e-waqt bhi
bas misr ki si garmi-e-bazar kar ke dekh
ai mohtasib riwayat-e-kuhna ke naqsh mein
tamir karta jaunga mismar kar ke dekh
shayad isi mein sare masail ka hal mile
sardar hai jo us ko sar-e-dar kar ke dekh
'jawed' gar hai KHwahish-e-taskin-e-qalb-o-jaan
ruKH apna jaanib-e-shah-e-abrar kar ke dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.