jiya ba-kaam kab is baKHt-e-arjumand se main
jiyā ba-kām kab is baḳht-e-arjumand se maiñ
phañsā qafas meñ jo chhūTā chaman ke band se maiñ
hai go ki jazb mirā tār-e-ankabūt se sust
ye sher phāñse haiñ aksar isī kamand se maiñ
kabhū de bazm meñ apnī mujhe bhī ruḳhsat-e-soz
gayā asar meñ mirī jaan kyā sipand se maiñ
jo talḳhiyeñ ki zaḳhīra maiñ kī haiñ ġham meñ tire
na un se ek ko badlūñ hazār qand se maiñ
butān-e-dahr se 'qā.em' kiyā maiñ kis ko pasand
huuñ ab hamesha nadāmat meñ jis pasand se maiñ
jiya ba-kaam kab is baKHt-e-arjumand se main
phansa qafas mein jo chhuTa chaman ke band se main
hai go ki jazb mera tar-e-ankabut se sust
ye sher phanse hain aksar isi kamand se main
kabhu de bazm mein apni mujhe bhi ruKHsat-e-soz
gaya asar mein meri jaan kya sipand se main
jo talKHiyen ki zaKHira main ki hain gham mein tere
na un se ek ko badlun hazar qand se main
butan-e-dahr se 'qaem' kiya main kis ko pasand
hun ab hamesha nadamat mein jis pasand se main
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.