jo aa sako to batao ki intizar karen
jo aa sako to batāo ki intizār kareñ
vagarna apne muqaddar pe e.atibār kareñ
charāġh-e-ḳhāna-e-ummīd hai abhī raushan
abhī na tark-e-ta.alluq ko iḳhtiyār kareñ
hamāre tūl-e-masāfat kā ye taqāzā hai
sharīk-e-hāl tujhe ai ḳhayāl-e-yār kareñ
ye gul-ruḳhoñ kā hai sheva ba-nām-e-nāz-o-adā
nigāh-e-āshiq-e-bismil ko ashk-bār kareñ
ye ahl-e-ishq ko zebā nahīñ sar-e-bāzār
junūñ ke naam pe dāmāñ ko taar taar kareñ
hamāre ābā-o-ajdād kā ye virsa hai
zamīn-e-dasht ko sarmāya-e-bahār kareñ
javāz-e-zindagī Thahrī hai jis kī yaad 'ra.īs'
usī se dil ke ta.alluq ko ustuvār kareñ
jo aa sako to batao ki intizar karen
wagarna apne muqaddar pe eatibar karen
charagh-e-KHana-e-ummid hai abhi raushan
abhi na tark-e-talluq ko iKHtiyar karen
hamare tul-e-masafat ka ye taqaza hai
sharik-e-haal tujhe ai KHayal-e-yar karen
ye gul-ruKHon ka hai shewa ba-nam-e-naz-o-ada
nigah-e-ashiq-e-bismil ko ashk-bar karen
ye ahl-e-ishq ko zeba nahin sar-e-bazar
junun ke nam pe daman ko tar tar karen
hamare aaba-o-ajdad ka ye wirsa hai
zamin-e-dasht ko sarmaya-e-bahaar karen
jawaz-e-zindagi Thahri hai jis ki yaad 'rais'
usi se dil ke talluq ko ustuwar karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.