jo aane wale dinon ko gulab dekhna hai
jo aane vaale dinoñ ko gulāb dekhnā hai
to aao tai ye kareñ ab se ḳhvāb dekhnā hai
vo aur hoñge jinheñ intiḳhāb dekhnā hai
hameñ to bhaa.ī faqat intisāb dekhnā hai
hamārā sirf hamārā bayān ho jis meñ
kitāb-e-'ishq meñ ik aisā baab dekhnā hai
hisāb apne gunāhoñ kā kyoñ rakheñ jab ki
hameñ tirā karam-e-be-hisāb dekhnā hai
havas ġhurūr raqābat fasād bechainī
hamāre bachchoñ ko kyā kyā 'azāb dekhnā hai
jo saañs liije to farhat jo chhoḌiye to sukūñ
vo daur aa.egā kab ye janāb dekhnā hai
nafas nafas meñ ho ḳhushbū mohabbatoñ kī 'obaid'
tamām 'umr yahī ek ḳhvāb dekhnā hai
jo aane wale dinon ko gulab dekhna hai
to aao tai ye karen ab se KHwab dekhna hai
wo aur honge jinhen intiKHab dekhna hai
hamein to bhai faqat intisab dekhna hai
hamara sirf hamara bayan ho jis mein
kitab-e-'ishq mein ek aisa bab dekhna hai
hisab apne gunahon ka kyon rakhen jab ki
hamein tera karam-e-be-hisab dekhna hai
hawas ghurur raqabat fasad bechaini
hamare bachchon ko kya kya 'azab dekhna hai
jo sans lije to farhat jo chhoDiye to sukun
wo daur aaega kab ye janab dekhna hai
nafas nafas mein ho KHushbu mohabbaton ki 'obaid'
tamam 'umr yahi ek KHwab dekhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.