jo aap aaen to aangan mein raushni hogi
jo aap aa.eñ to āñgan meñ raushnī hogī
ḳhamoshiyoñ meñ mohabbat kī bāñsurī hogī
chaman ne bhej diyā hai payām phūloñ ko
havā bhī aaj darīche meñ kāsnī hogī
kise ḳhabar thī ki nikle jo aaj jannat se
ġhubār-e-zīst meñ is darja nīstī hogī
rukūñgī aur ghaḌī bhar yahīñ pe raste meñ
vo kah gayā thā bahut jald vāpsī hogī
jo ham-kalām kabhī ho to jaan loge use
vo ḳhush-mizāj hai lahje meñ chāshnī hogī
vo merī aañkh meñ utrā hai ḳhvāb kī sūrat
to us kī aañkh mujhe bhī to dekhtī hogī
banā rahe haiñ jise aap dil kā afsāna
mirā ḳhayāl hai 'nīlam' kī dil-lagī hogī
jo aap aaen to aangan mein raushni hogi
KHamoshiyon mein mohabbat ki bansuri hogi
chaman ne bhej diya hai payam phulon ko
hawa bhi aaj dariche mein kasni hogi
kise KHabar thi ki nikle jo aaj jannat se
ghubar-e-zist mein is darja nisti hogi
rukungi aur ghaDi bhar yahin pe raste mein
wo kah gaya tha bahut jald wapsi hogi
jo ham-kalam kabhi ho to jaan loge use
wo KHush-mizaj hai lahje mein chashni hogi
wo meri aankh mein utra hai KHwab ki surat
to us ki aankh mujhe bhi to dekhti hogi
bana rahe hain jise aap dil ka afsana
mera KHayal hai 'nilam' ki dil-lagi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.