jo ab bhi unki yaaden aaiyan hain
jo ab bhī un kī yādeñ ā.iyāñ haiñ
to āñkheñ ashk-e-ḳhūñ barsā.iyāñ haiñ
purāne zaḳhm kar detī haiñ taaza
sitamgar kis qadar purvā.iyāñ haiñ
ye roz-o-shab ye sub.h-o-shām kyā haiñ
nigār-e-vaqt kī añgḌā.iyāñ haiñ
agar dil hī huā shā.ista-e-ġham
kahāñ duniyā meñ phir ra.anā.iyāñ haiñ
ye kyā qissa nikālā tū ne nāseh
dil-e-betāb par ban ā.iyāñ haiñ
sañbhal jā ai dil-e-nādāñ sañbhal jā
ki aage har taraf rusvā.iyāñ haiñ
nikāle sab ne apne apne matlab
suḳhan meñ kis qadar gahrā.iyāñ haiñ
banā Daalā zamāne bhar ko dushman
balā-e-jāñ mirī dānā.iyāñ haiñ
maqām-e-shukr hai ye bhī to 'az.har'
muqaddar meñ agar tanhā.iyāñ haiñ
jo ab bhi un ki yaaden aaiyan hain
to aankhen ashk-e-KHun barsaiyan hain
purane zaKHm kar deti hain taza
sitamgar kis qadar purwaiyan hain
ye roz-o-shab ye subh-o-sham kya hain
nigar-e-waqt ki angDaiyan hain
agar dil hi hua shaista-e-gham
kahan duniya mein phir ranaiyan hain
ye kya qissa nikala tu ne naseh
dil-e-betab par ban aaiyan hain
sanbhal ja ai dil-e-nadan sanbhal ja
ki aage har taraf ruswaiyan hain
nikale sab ne apne apne matlab
suKHan mein kis qadar gahraiyan hain
bana Dala zamane bhar ko dushman
bala-e-jaan meri danaiyan hain
maqam-e-shukr hai ye bhi to 'azhar'
muqaddar mein agar tanhaiyan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.