jo ada hai be-aman hai aaj-kal
jo adā hai be-amāñ hai āj-kal
mere dil kā imtihāñ hai āj-kal
multafit barq-e-tapāñ hai āj-kal
shāḳh-e-gul par āshiyāñ hai āj-kal
ik junūn-e-justujū meñ be-jihat
jāda-paimāñ kārvāñ hai āj-kal
har qadam uThtā hai manzil kī taraf
ishq mīr-e-kārvāñ hai āj-kal
koī barq-e-sho.ala-zan hī ai falak
zindagī ḳhvāb-e-girāñ hai āj-kal
kaun suntā hai kisī kī dāstāñ
apnī apnī dāstāñ hai āj-kal
ishrat-e-fasl-e-bahārāñ al-amāñ
bijliyoñ meñ āshiyāñ hai āj-kal
hazrat-e-'tālib' haiñ kuchh kho.e hue
koī shāyad mehrbāñ hai āj-kal
jo ada hai be-aman hai aaj-kal
mere dil ka imtihan hai aaj-kal
multafit barq-e-tapan hai aaj-kal
shaKH-e-gul par aashiyan hai aaj-kal
ek junun-e-justuju mein be-jihat
jada-paiman karwan hai aaj-kal
har qadam uThta hai manzil ki taraf
ishq mir-e-karwan hai aaj-kal
koi barq-e-shoala-zan hi ai falak
zindagi KHwab-e-giran hai aaj-kal
kaun sunta hai kisi ki dastan
apni apni dastan hai aaj-kal
ishrat-e-fasl-e-bahaaran al-aman
bijliyon mein aashiyan hai aaj-kal
hazrat-e-'talib' hain kuchh khoe hue
koi shayad mehrban hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.