jo apne hath se ruKHsat tumhein kiya hai abhi
jo apne haath se ruḳhsat tumheñ kiyā hai abhī
siyāh raat se saudā koī huā hai abhī
ruko zarā sā mujhe saañs to pakaḌne do
badan se ruuh kā dāman judā huā hai abhī
tire darīche se ḳhushbū payām laa.ī hai
gulābī raat kā āñchal mahak rahā hai abhī
charāġh-e-jān bhī suntā hai terī aahaT ko
paḌā huā thā mire paas jal uThā hai abhī
koī ishāra karo baat koī batlāo
sunāo kaise mirā naam le liyā hai abhī
sunā diyā hai mirā jurm jis ne duniyā ko
vo apne aap kī nazroñ meñ ik ḳhudā hai abhī
shab-e-firāq meñ aañsū sulag rahā hai mirā
tavīl raat meñ jaltā huā diyā hai abhī
abhī luTā nahīñ hai kārvāñ mohabbat kā
mirī nazar meñ tire vāste vafā hai abhī
hurūf chup hī rahe daur muḳhtasar hī rahā
fasāna dil kā tirī aañkh se sunā hai abhī
abhī na jaao mirī aañkh kī hayā rakh lo
mire vujūd meñ kachchā sā ik ghaḌā hai abhī
laboñ pe harf ke ikrām kis tarah utreñ
mire ḳhayāl kā maqtal sajā huā hai abhī
hare libās meñ ham-zād saath rahtā hai
nigāh-e-shauq meñ rakh kar mujhe milā hai abhī
agarche dhuup kaḌī ho ga.ī hai sahrā meñ
vufūr-e-shauq se ġhuncha khilā huā hai abhī
chalā gayā hai magar lauT aa.egā 'nīlam'
vo zūd-ranj sahī dost vo mirā hai abhī
jo apne hath se ruKHsat tumhein kiya hai abhi
siyah raat se sauda koi hua hai abhi
ruko zara sa mujhe sans to pakaDne do
badan se ruh ka daman juda hua hai abhi
tere dariche se KHushbu payam lai hai
gulabi raat ka aanchal mahak raha hai abhi
charagh-e-jaan bhi sunta hai teri aahaT ko
paDa hua tha mere pas jal uTha hai abhi
koi ishaara karo baat koi batlao
sunao kaise mera nam le liya hai abhi
suna diya hai mera jurm jis ne duniya ko
wo apne aap ki nazron mein ek KHuda hai abhi
shab-e-firaq mein aansu sulag raha hai mera
tawil raat mein jalta hua diya hai abhi
abhi luTa nahin hai karwan mohabbat ka
meri nazar mein tere waste wafa hai abhi
huruf chup hi rahe daur muKHtasar hi raha
fasana dil ka teri aankh se suna hai abhi
abhi na jao meri aankh ki haya rakh lo
mere wujud mein kachcha sa ek ghaDa hai abhi
labon pe harf ke ikram kis tarah utren
mere KHayal ka maqtal saja hua hai abhi
hare libas mein ham-zad sath rahta hai
nigah-e-shauq mein rakh kar mujhe mila hai abhi
agarche dhup kaDi ho gai hai sahra mein
wufur-e-shauq se ghuncha khila hua hai abhi
chala gaya hai magar lauT aaega 'nilam'
wo zud-ranj sahi dost wo mera hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.