jo ba-kirdar ho usko siyani kaun kahta hai
jo ba-kirdar ho usko siyani kaun kahta hai
Sabeela Inam Siddiqui
MORE BYSabeela Inam Siddiqui
jo bā-kirdār ho us ko siyānī kaun kahtā hai
kisī mazdūr kī beTī ko raanī kaun kahtā hai
bajaT jab saare lag jaa.eñ vazārat kī hī kursī par
to is tarz-e-ma.īshat ko girānī kaun kahtā hai
mohabbat ke fasāne aaj bhī tahrīr hote haiñ
bahār-e-zindagānī ko purānī kaun kahtā hai
mirī naanī sunātī thī hikāyat saat pariyoñ kī
vo sachche pyaar kī lorī suhānī kaun kahtā hai
nahīñ miTtā miTāne se kisī se pyaar kā rishta
mohabbat to haqīqat hai kahānī kaun kahtā hai
atā umr-e-ravāñ ne kī hai jo sauġhāt bāloñ ko
utartī chāñdnī ko naujavānī kaun kahtā hai
sabhī ne āp-bītī aur jag-bītī kahī lekin
mire andāz se sachchī kahānī kaun kahtā hai
kuchh aise log hote haiñ jo mar ke bhī nahīñ marte
haiñ jin ke naam zinda un ko faanī kaun kahtā hai
jo mere lab nahīñ kahte mire ash.ār kahte haiñ
jo dil tahrīr kartā hai zabānī kaun kahtā hai
'sabīla' apne ġham ko maiñ chhupā letī to huuñ lekin
girātī haiñ jo āñkheñ un ko paanī kaun kahtā hai
jo ba-kirdar ho us ko siyani kaun kahta hai
kisi mazdur ki beTi ko rani kaun kahta hai
bajaT jab sare lag jaen wazarat ki hi kursi par
to is tarz-e-maishat ko girani kaun kahta hai
mohabbat ke fasane aaj bhi tahrir hote hain
bahaar-e-zindagani ko purani kaun kahta hai
meri nani sunati thi hikayat sat pariyon ki
wo sachche pyar ki lori suhani kaun kahta hai
nahin miTta miTane se kisi se pyar ka rishta
mohabbat to haqiqat hai kahani kaun kahta hai
ata umr-e-rawan ne ki hai jo saughat baalon ko
utarti chandni ko naujawani kaun kahta hai
sabhi ne aap-biti aur jag-biti kahi lekin
mere andaz se sachchi kahani kaun kahta hai
kuchh aise log hote hain jo mar ke bhi nahin marte
hain jin ke nam zinda un ko fani kaun kahta hai
jo mere lab nahin kahte mere ashaar kahte hain
jo dil tahrir karta hai zabani kaun kahta hai
'sabila' apne gham ko main chhupa leti to hun lekin
giraati hain jo aankhen un ko pani kaun kahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.