jo baat tere lab pe hai aa kar ruki hui
jo baat tere lab pe hai aa kar rukī huī
vo baat mere dil meñ hai kab se chubhī huī
maiñ aur vaqt mil ke use dekhte rahe
achchhī bahut lagī vo ghaḌī dekhtī huī
hotī nahīñ hai merī ibādat meñ kyuuñ sharīk
hai kaisī ruuh mere badan meñ chhupī huī
aisā koī milā hī nahīñ ham se jo kahe
mil kar janāb aap se behad ḳhushī huī
ye baat ab charāġh ko kaise batā.eñ ham
kuchh tīrgī hai is ke tale bhī chhipī huī
aao 'sarosh' tum ko bujhā kar hī dekh leñ
jalne se bhī tumhāre kahāñ raushnī huī
saarī guzār dī hai kisī ek ke liye
sayyad 'sarosh' ye bhī koī zindagī huī
jo baat tere lab pe hai aa kar ruki hui
wo baat mere dil mein hai kab se chubhi hui
main aur waqt mil ke use dekhte rahe
achchhi bahut lagi wo ghaDi dekhti hui
hoti nahin hai meri ibaadat mein kyun sharik
hai kaisi ruh mere badan mein chhupi hui
aisa koi mila hi nahin hum se jo kahe
mil kar janab aap se behad KHushi hui
ye baat ab charagh ko kaise bataen hum
kuchh tirgi hai is ke tale bhi chhipi hui
aao 'sarosh' tum ko bujha kar hi dekh len
jalne se bhi tumhaare kahan raushni hui
sari guzar di hai kisi ek ke liye
sayyad 'sarosh' ye bhi koi zindagi hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.