jo bach gae hain charagh un ko bachae rakkho
jo bach ga.e haiñ charāġh un ko bachā.e rakkho
maiñ jāntā huuñ havā se rishta banā.e rakkho
zarūr utregā āsmāñ se koī sitārā
zamīn vaalo zamīñ pe palkeñ bichhā.e rakkho
abhī vahīñ se kisī ke ġham kī sadā uThegī
usī darīche pe kaan apne lagā.e rakho
hamesha ḳhud se bhī pur-takalluf raho to achchhā
ḳhud apne andar bhī ek dīvār uThā.e rakkho
jo bach gae hain charagh un ko bachae rakkho
main jaanta hun hawa se rishta banae rakkho
zarur utrega aasman se koi sitara
zamin walo zamin pe palken bichhae rakkho
abhi wahin se kisi ke gham ki sada uThegi
usi dariche pe kan apne lagae rakho
hamesha KHud se bhi pur-takalluf raho to achchha
KHud apne andar bhi ek diwar uThae rakkho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.