jo bhi chahen aap marzi aap ki
jo bhī chāheñ aap marzī aap kī
jaa.eñ aa.eñ aap marzī aap kī
dil lagā.eñ aap marzī aap kī
dil dukhā.eñ aap marzī aap kī
ham bahā.eñ ashk ye apnā nasīb
muskurā.eñ aap marzī aap kī
imtihān ham ishq kā deñge zarūr
āzmā.eñ aap marzī aap kī
dard-e-dil se aap ko kyā vāsta
bas chalā.eñ aap marzī aap kī
shaad dil ho gar tumheñ ham dekh leñ
yā rulā.eñ aap marzī aap kī
maiñ to chāhūñgā hamesha aap ko
ab batā.eñ aap marzī aap kī
ab sunā.eñ kis ko 'haidar' hāl-e-dil
likh ke jaa.eñ aap marzī aap kī
jo bhi chahen aap marzi aap ki
jaen aaen aap marzi aap ki
dil lagaen aap marzi aap ki
dil dukhaen aap marzi aap ki
hum bahaen ashk ye apna nasib
muskuraen aap marzi aap ki
imtihan hum ishq ka denge zarur
aazmaen aap marzi aap ki
dard-e-dil se aap ko kya wasta
bas chalaen aap marzi aap ki
shad dil ho gar tumhein hum dekh len
ya rulaen aap marzi aap ki
main to chahunga hamesha aap ko
ab bataen aap marzi aap ki
ab sunaen kis ko 'haidar' haal-e-dil
likh ke jaen aap marzi aap ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.