jo bhi chehre hain KHun se tar hain
jo bhī chehre haiñ ḳhuun se tar haiñ
har taraf ġham-zada se paikar haiñ
jin pe likhte haiñ naam rishtoñ ke
mere siine meñ aise ḳhanjar haiñ
roz-e-mahshar se kyā Darāte ho
mere āñgan meñ saare mahshar haiñ
un ke chehre ko jab se dekhā hai
āsmāñ chup bujhe se aḳhtar haiñ
jaane kaise safar meñ huuñ 'nusrat'
saare manzar udaas manzar haiñ
jo bhi chehre hain KHun se tar hain
har taraf gham-zada se paikar hain
jin pe likhte hain nam rishton ke
mere sine mein aise KHanjar hain
roz-e-mahshar se kya Daraate ho
mere aangan mein sare mahshar hain
un ke chehre ko jab se dekha hai
aasman chup bujhe se aKHtar hain
jaane kaise safar mein hun 'nusrat'
sare manzar udas manzar hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.