jo bhi hoga war dekha jaega
jo bhī hogā vaar dekhā jā.egā
ġham na kar ġham-ḳhvār dekhā jā.egā
kis tarah manvā liyā jaa.e tujhe
ai mire fankār dekhā jā.egā
chal diye to phir kahīñ ruknā nahīñ
rāsta dushvār dekhā jā.egā
intizār ab to nahīñ hai intizār
ai dil-e-bezār dekhā jā.egā
hijr ke sahrā kā aisā zikr kyā
ai shab-e-bedār dekhā jā.egā
vaqt kartā hai 'sabā' kuchh faisle
vaqt ko har baar dekhā jā.egā
jo bhi hoga war dekha jaega
gham na kar gham-KHwar dekha jaega
kis tarah manwa liya jae tujhe
ai mere fankar dekha jaega
chal diye to phir kahin rukna nahin
rasta dushwar dekha jaega
intizar ab to nahin hai intizar
ai dil-e-bezar dekha jaega
hijr ke sahra ka aisa zikr kya
ai shab-e-bedar dekha jaega
waqt karta hai 'saba' kuchh faisle
waqt ko har bar dekha jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.