jo bhi jine ke silsile kiye the
jo bhī jiine ke silsile kiye the
ham ne bas aap ke liye kiye the
tab kahīñ jā ke apnī marzī kī
pahle apnoñ se mashvare kiye the
kabhī us kī nigah mayassar thī
kaise kaise mushāhide kiye the
aql kuchh aur kar ke baiTh rahī
ishq ne aur faisle kiye the
baat ham ne sunī huī sunī thī
kaam us ne kiye hue kiye the
use bhī ek ḳhat likhā gayā thā
apne aage bhī aa.ine kiye the
yahāñ kuchh bhī nahīñ hai mere liye
tū ne kyā kyā mubālġhe kiye the
avval aane kā shauq thā lekin
kaam saare hī dūsre kiye the
baḌī mushkil thī vo ghaḌī 'javvād'
ham ne kab aise faisle kiye the
jo bhi jine ke silsile kiye the
hum ne bas aap ke liye kiye the
tab kahin ja ke apni marzi ki
pahle apnon se mashware kiye the
kabhi us ki nigah mayassar thi
kaise kaise mushahide kiye the
aql kuchh aur kar ke baiTh rahi
ishq ne aur faisle kiye the
baat hum ne suni hui suni thi
kaam us ne kiye hue kiye the
use bhi ek KHat likha gaya tha
apne aage bhi aaine kiye the
yahan kuchh bhi nahin hai mere liye
tu ne kya kya mubaalghe kiye the
awwal aane ka shauq tha lekin
kaam sare hi dusre kiye the
baDi mushkil thi wo ghaDi 'jawwad'
hum ne kab aise faisle kiye the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.