jo bhi kahna ho wahan meri zabani kahna
jo bhī kahnā ho vahāñ merī zabānī kahnā
log kuchh bhī kaheñ tum aag ko paanī kahnā
aaj vo shaḳhs zamāne meñ hai yaktā kah do
jab koī dūsrā mil jaa.e to saanī kahnā
ġham agar palkoñ pe tham jaa.e to aañsū kahiyo
aur bah jaa.e to maujoñ kī ravānī kahnā
jitnā jī chāhe use aaj haqīqat kah lo
kal use merī tarah tum bhī kahānī kahnā
ab to dhuñdlā gayā yādoñ kā har ik naqsh 'shamīm'
phir vo de jaa.e koī apnī nishānī kahnā
jo bhi kahna ho wahan meri zabani kahna
log kuchh bhi kahen tum aag ko pani kahna
aaj wo shaKHs zamane mein hai yakta kah do
jab koi dusra mil jae to sani kahna
gham agar palkon pe tham jae to aansu kahiyo
aur bah jae to maujon ki rawani kahna
jitna ji chahe use aaj haqiqat kah lo
kal use meri tarah tum bhi kahani kahna
ab to dhundla gaya yaadon ka har ek naqsh 'shamim'
phir wo de jae koi apni nishani kahna
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 432)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
- Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002 (July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
- Edition : July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.