jo bhi kahna tha wo an-kaha rah gaya
jo bhī kahnā thā vo an-kahā rah gayā
dil kā armān dil meñ dabā rah gayā
umr bhar us kī jānib maiñ chaltī rahī
phir bhī mīloñ kā ye fāsla rah gayā
yuuñ to duniyā meñ sab kuchh hai mujh ko milā
sirf tū hī to mujh se judā rah gayā
apnī kahtā rahā merī ik nā sunī
vo ḳhafā thā ḳhafā kā ḳhafā rah gayā
aa gayā lauT kar vo mire paas hī
mujh meñ phir bhī kahīñ ik ḳhalā rah gayā
kyā batā.ūñ tumheñ apnī taqdīr se
kyā milā hai mujhe aur kyā rah gayā
DhūñDte DhūñDte maiñ kahīñ kho ga.ī
vo bhī mere liye lāpata rah gayā
manzileñ mil ga.iiñ jaane kis ko 'hinā'
apnī qismat meñ bas rāsta rah gayā
jo bhi kahna tha wo an-kaha rah gaya
dil ka arman dil mein daba rah gaya
umr bhar us ki jaanib main chalti rahi
phir bhi milon ka ye fasla rah gaya
yun to duniya mein sab kuchh hai mujh ko mila
sirf tu hi to mujh se juda rah gaya
apni kahta raha meri ek na suni
wo KHafa tha KHafa ka KHafa rah gaya
aa gaya lauT kar wo mere pas hi
mujh mein phir bhi kahin ek KHala rah gaya
kya bataun tumhein apni taqdir se
kya mila hai mujhe aur kya rah gaya
DhunDte DhunDte main kahin kho gai
wo bhi mere liye lapata rah gaya
manzilen mil gain jaane kis ko 'hina'
apni qismat mein bas rasta rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.