jo bhi ku-e-butan se niklega
jo bhī kū-e-butāñ se niklegā
vo to kaun-o-makāñ se niklegā
phir kahāñ par amaañ mile us ko
jo tire āstāñ se niklegā
jab sañvāregā zulf yaar apnī
chāñd kab āsmāñ se niklegā
jaam kī talḳhiyāñ agar na sahī
dard soz-e-nihāñ se niklegā
zindagī tere hādsoñ se bhalā
koī bach kar kahāñ se niklegā
dard hissa hai ziist kā 'irsa'
kab mirī dāstāñ se niklegā
jo bhi ku-e-butan se niklega
wo to kaun-o-makan se niklega
phir kahan par aman mile us ko
jo tere aastan se niklega
jab sanwarega zulf yar apni
chand kab aasman se niklega
jam ki talKHiyan agar na sahi
dard soz-e-nihan se niklega
zindagi tere hadson se bhala
koi bach kar kahan se niklega
dard hissa hai zist ka 'irsa'
kab meri dastan se niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.