jo bhi milta hai usi ko pujne lagta hun main
jo bhī miltā hai usī ko pūjne lagtā huuñ maiñ
kyā karūñ majbūriyoñ haiñ gaañv se aayā huuñ maiñ
kal bhī ehsāsāt ke sho.aloñ pe thā merā vajūd
aaj bhī har lamha sone kī tarah lagtā huuñ maiñ
mujh se hī qaa.em hai ab tak terā tahzībī vaqār
toḌ mat mujh ko ki ghar kā sadr darvāza huuñ maiñ
maiñ tire sāhil pe aayā huuñ ki dekhūñ terā zarf
ai samundar tujh se kis ne kah diyā pyāsā huuñ maiñ
saañs tak lenā bhī hai dushvār jab is shahr meñ
zindagī tujh par mirā ehsān hai zinda huuñ maiñ
laakh buniyādoñ meñ tū ne Dhak ke rakkhā hai mujhe
ai havelī ke khañDar ab bhī tarah hissa huuñ maiñ
maiñ ba-zid huuñ us pe ki sab mujh ko samjheñ ā.īna
jabki ā.īna ba-ḳhūbī jāntā hai kyā huuñ maiñ
jo bhi milta hai usi ko pujne lagta hun main
kya karun majburiyon hain ganw se aaya hun main
kal bhi ehsasat ke shoalon pe tha mera wajud
aaj bhi har lamha sone ki tarah lagta hun main
mujh se hi qaem hai ab tak tera tahzibi waqar
toD mat mujh ko ki ghar ka sadr darwaza hun main
main tere sahil pe aaya hun ki dekhun tera zarf
ai samundar tujh se kis ne kah diya pyasa hun main
sans tak lena bhi hai dushwar jab is shahr mein
zindagi tujh par mera ehsan hai zinda hun main
lakh buniyaadon mein tu ne Dhak ke rakkha hai mujhe
ai haweli ke khanDar ab bhi tarah hissa hun main
main ba-zid hun us pe ki sab mujh ko samjhen aaina
jabki aaina ba-KHubi jaanta hai kya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.