jo bhi sikha kitabon se batao ab
jo bhī sīkhā kitāboñ se batāo ab
chalo ye kārvāñ aage baḌhāo ab
bhalā kab tak sahoge zulm chup rah kar
bharo huñkār āvāzeñ uThāo ab
mohabbat se karo chāragarī dil kī
diloñ se nafrateñ mil kar miTāo ab
taras khaao nahīñ bas haal par mere
ye lāzim hai gale se bhī lagāo ab
anā kā gar nahīñ hai mas.ala koī
to do āvāz aur mujh ko bulāo ab
jo bhi sikha kitabon se batao ab
chalo ye karwan aage baDhao ab
bhala kab tak sahoge zulm chup rah kar
bharo hunkar aawazen uThao ab
mohabbat se karo chaaragari dil ki
dilon se nafraten mil kar miTao ab
taras khao nahin bas haal par mere
ye lazim hai gale se bhi lagao ab
ana ka gar nahin hai masala koi
to do aawaz aur mujh ko bulao ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.