jo bhi teri aankh ko bha jaega
jo bhī terī aañkh ko bhā jā.egā
jān-e-jāñ mahbūb samjhā jā.egā
naam zulfoñ kā na lenā bhuul kar
dil kā panchhī daam meñ aa jā.egā
vaqt ke maqtal meñ ham haiñ dosto
vaqt ik din ham ko bhī khā jā.egā
vo samajhtā hai mirī hālat magar
maiñ agar kah duuñ to sharmā jā.egā
kuchh na kahnā rāz-dāñ bas dekhnā
aañkh se vo mudda.ā pā jā.egā
kah rahe haiñ vo na 'bismil' yuuñ taḌap
tujh pe zālim dil mirā aa jā.egā
jo bhi teri aankh ko bha jaega
jaan-e-jaan mahbub samjha jaega
nam zulfon ka na lena bhul kar
dil ka panchhi dam mein aa jaega
waqt ke maqtal mein hum hain dosto
waqt ek din hum ko bhi kha jaega
wo samajhta hai meri haalat magar
main agar kah dun to sharma jaega
kuchh na kahna raaz-dan bas dekhna
aankh se wo muddaa pa jaega
kah rahe hain wo na 'bismil' yun taDap
tujh pe zalim dil mera aa jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.