jo bhi tha KHatm ho gaya mujh mein
jo bhī thā ḳhatm ho gayā mujh meñ
ya.anī maiñ bhī nahīñ rahā mujh meñ
koī dar band kar gayā merā
koī ghuT ghuT ke mar gayā mujh meñ
kyoñ hai ab tū ḳhamosh kyoñ hai batā
DhūñDne vaale kyā milā mujh meñ
mar chukā huuñ maiñ ek muddat se
ab koī aur jī rahā mujh meñ
shab koī mujh meñ aa ke royā ḳhuub
aur phir thak ke so gayā mujh meñ
jo bhi tha KHatm ho gaya mujh mein
yani main bhi nahin raha mujh mein
koi dar band kar gaya mera
koi ghuT ghuT ke mar gaya mujh mein
kyon hai ab tu KHamosh kyon hai bata
DhunDne wale kya mila mujh mein
mar chuka hun main ek muddat se
ab koi aur ji raha mujh mein
shab koi mujh mein aa ke roya KHub
aur phir thak ke so gaya mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.