jo chahiye tha wo na mila aasman se
jo chāhiye thā vo na milā āsmān se
Thukrā ke lauT aa.e sitāroñ ko shaan se
ye soch kar ke chhāñv meñ baiThā na maiñ kabhī
TuuTe na hausla tirā merī thakān se
talvoñ ko chāTne se har ik kaam ban paḌā
mehnat na de sakī vo jo paayā zabān se
lekin vo zaḳhm bhar gayā dahshat nahīñ ga.ī
sab shab aane lagtā hai us ke nishān se
ham se zarā sā aage agar ho bhī tum to kyā
ham apne aap se bane tum ḳhāndān se
lauTā jo ḳhālī haath to maiñ muskurā diyā
ummīd bhī nahīñ thī tere āstān se
ai dil tū rāh-e-ishq kī Thokar se le sabaq
jo ho gayā so ho gayā ā.inda dhyān se
sar se bhaTak rahā hai tumhārā har ek lafz
dil kyā sunegā jo na sunā jaa.e kaan se
jo chahiye tha wo na mila aasman se
Thukra ke lauT aae sitaron ko shan se
ye soch kar ke chhanw mein baiTha na main kabhi
TuTe na hausla tera meri thakan se
talwon ko chaTne se har ek kaam ban paDa
mehnat na de saki wo jo paya zaban se
lekin wo zaKHm bhar gaya dahshat nahin gai
sab shab aane lagta hai us ke nishan se
hum se zara sa aage agar ho bhi tum to kya
hum apne aap se bane tum KHandan se
lauTa jo KHali hath to main muskura diya
ummid bhi nahin thi tere aastan se
ai dil tu rah-e-ishq ki Thokar se le sabaq
jo ho gaya so ho gaya aainda dhyan se
sar se bhaTak raha hai tumhaara har ek lafz
dil kya sunega jo na suna jae kan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.