jo chal paDun to koi hausla nahin denge
jo chal paḌūñ to koī hausla nahīñ deñge
ye sabz peḌ mujhe rāsta nahīñ deñge
ye ab jo khod rahe haiñ zamīn mere liye
maiñ jī uThūñ to kahīñ bhī jagah nahīñ deñge
hamāre saath yahī kuchh kareñge log abhī
ye jānte haiñ ki ham bad-duā nahīñ deñge
ye aa.ine haiñ bharosā unhīñ pe karnā hai
ye bad-zabān haiñ lekin daġhā nahīñ deñge
jo chal paDun to koi hausla nahin denge
ye sabz peD mujhe rasta nahin denge
ye ab jo khod rahe hain zamin mere liye
main ji uThun to kahin bhi jagah nahin denge
hamare sath yahi kuchh karenge log abhi
ye jaante hain ki hum bad-dua nahin denge
ye aaine hain bharosa unhin pe karna hai
ye bad-zaban hain lekin dagha nahin denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.